हमारी समाज मैं रिश्ते नहीं होने का कारण
Dear sir ,
Aapne jo mudda uthaya hai wo bhut hi kaabile taarif hai..
Humari samaj me riste naa hone ka Karan humari hi samaj hai..
Ladki waale aur ladke waale dono eske jimmedaar hai ..
Ladki waalon ko apni ladki ke liye sab kuch chahiye ..
Job, Jamin, ghar , aur achha makan
Ab har koi ye saari chize toh nhi manage kar sakta hai ..
Aur jin logon ke pass ye kami hai wo aaj bhi kunware baithe huye hai har ganv me aise 10-15 ladke aap bhi jaante honge
Ab esne nipatne ke liye kuch trike hum nikal sakte hai..
1- saamuhik vivaah sammelan ke time 2hrs ka parichay sammelan rakha jaaye jha ladka ladki sirf apna jivansathi dekh sakte hai ..
2- kisi ko bhi uske present se nhi balki uske future se aanka jaaye ..aaj jo wo hai kal waise hi rhega eska aap aaj hi decision nhi le sakte hai ..use chance milna chahiye ..
3- kuch garib pariwaaron ke liye pure samaj ko madad karna chahiye ..( kuch log har ganv me milte hai jo unke Samband naa toh hone dete hai naa unko achha lagta hai ..aise logon ko ignore kiya jaaye )
4- aap jis ladke yaa ladki se apna rista joined waale hai direct usse mile use samjhe aur ho sakte toh 4-5 din sath me samay bitaye aapko uske baare me sab pata chal jaayega naa ki uska bio data aap apne ristedaaron se puche..agar aapne aisa kiya toh wo log support nhi krenge ..aur wo bechara aise hi rah jaayega
Ab kuch chizen hume kam karna hogi ----
1- logon pr trust krne ki bajay aap us bache par trust krke dekho
2- use dahej dene ki bajay uski help Karo
3- garib aur amir se kuch uper ki soch rakho
.....
Kahne ko toh bhut kuch hai par koi usko samjhta nhi hai
Arvind patidar
OWNER- GM SOLUTION
( STOCK MARKET ADVISOR)
SANDALPUR, TEH - BHANPURA
DIST- MANDSUAR MP